Kalams Page

Zeh-e-izzat O Itlaaye Muhammad ﷺ

Poet: Ahmed Raza Khan Barelvi | Book: Unknown | Type: Naat

Zeh-e-izzat O Itlaaye Muhammad ﷺ


Zeh-e-izzat o itlaaye Muhammad ﷺ
Ke hai arsh-e-haq zair-e-paye Muhammad ﷺ

Makaan arsh unka falak farsh unka
Malak khadamaan-e-saraye Muhammad ﷺ

Khuda ki raza chahte hain do aalam
Khuda chahta hai razaaye Muhammad ﷺ

Ajab kiya agar reham farma le hum par
Khuda-e-Muhammad baraye Muhammad ﷺ

Muhammad baraye janab-e-ilahi!
Janab-e-ilahi baraye Muhammad ﷺ

Basi itr-e-mahboobi kubriya se
Ubaa-e-Muhammad qubaye Muhammad ﷺ

Baham ahd baandhe hain wasl-e-abad ka
Razaaye Khuda aur razaaye Muhammad ﷺ

Dam-e-naza jari ho meri zabaan par
Muhammad Muhammad Khuda-e-Muhammad ﷺ

Asaaye Kaleem azdhahay-e-ghazab tha
Giroun ka sahara asaaye Muhammad ﷺ

Main qurban kiya pyari pyari hai nasbat
Yeh aan-e-Khuda woh Khuda-e-Muhammad ﷺ

Muhammad ka dam khaas bahr-e-Khuda hai
Siway-e-Muhammad baraye Muhammad ﷺ

Khuda unko kis pyar se dekhta hai
Jo aankhen hain maho liqae ﷺ

Jaloo mein ijabat khwasisi mein rehmat
Badhi kis tuzuk se duaye Muhammad ﷺ

Ijabat ne jhuk kar gale se lagaya
Badhi naaz se jab duaye Muhammad ﷺ

Ijabat ka sehra inayat ka jora
Dulhan ban ke nikli duaye Muhammad ﷺ

Raza pul se ab wijd karte guzriye
Ke hai Rabb-e-Salim sadaaye Muhammad ﷺ