Zameen O Zaman Tumhare Liye, Makeen O Makaan Tumhare Liye
Zameen O Zaman Tumhare Liye, Makeen O Makaan Tumhare Liye
Zameen o zamañ tumhare liye, makeen o makaan tumhare liye
Chanin o chanaan tumhare liye, banne do jahan tumhare liye
Dahan mein zabaan tumhare liye badan mein hai jaan tumhare liye
Hum aaye yahan tumhare liye uthain bhi wahan tumhare liye
Farishtay khidmat-e-Rasool-e-Hasham tamam-e-ummam ghulam-e-karam
Wajood o adam huduth o qadam jahan mein ayan tumhare liye
Kaleem o nuji Maseeh o Safi Khalil o Razi Rasool o Nabi
Ateeq o wasi ghani o Ali sana ki zabaan tumhare liye
Asalat-e-kul imaamat-e-kul siyaadat-e-kul amaarat-e-kul
Hukoomat-e-kul wilayat-e-kul Khuda ke yahan tumhare liye
Tumhari chamak tumhari damak tumhari jhalak tumhari mehak
Zameen o falak samaak o samak mein sikka nishaan tumhare liye
Woh kanz-e-nahaan yeh noor fushan woh kun se ayan yeh bazm-e-fukaan
Yeh har tan o jaan yeh bagh-e-jannat yeh saara samaan tumhare liye
Zuhur-e-nahaan qayam-e-jahan rukoo-e-mahaan sujood-e-shahaan
Niyazain yahan namazain wahan yeh kis liye haan tumhare liye
Yeh shams o qamar yeh shaam o sehr yeh barg o shajar yeh bagh o samar
Yeh tegh o sipar yeh taaj o kamar yeh hukum-e-rawaan tumhare liye
Yeh faiz diye woh jood kiye ke naam liye zamana jiye
Jahan ne liye tumhare diye yeh akramiyan tumhare liye
Sahab-e-karam rawana kiye ke aab-e-ni‘am zamana piye
Jo rakhte the hum woh chaak siye yeh sitr-e-badan tumhare liye
Zunub fana ayoub hiba quloob safa khutub rawa
Yeh khoob ata karob zawaa paye dil o jaan tumhare liye
Woh kanz-e-nahaan yeh noor fushan woh kun se ayan yeh bazm-e-fukaan
Yeh har tan o jaan yeh bagh-e-jannat yeh saara samaan tumhare liye
Sahab karam rawa na kiye ke aab ni‘am zamana paye
Jo rakhte the hum woh chaak siye yeh sitr badan tumhare liye
Sana ka nishaan woh noor fushan ke mahro shaan baan humma shaan
Basa yeh kashaan mawakeb shaan yeh naam o nishaan tumhare liye
Ataye arabb jalaaye karb fiyooz-e-ajab baghair talab
Yeh rehmat-e-rabb hai kis ke sabab barabb-e-jahan tumhare liye
Jannat mein chaman, chaman mein saman, saman mein phiban, phiban mein dulhan
Sazaye mehn pe aise minan yeh aman o amaan tumhare liye
Kamaal-e-mahaan jalaal-e-shahaan jamaal hasaan mein tum ho ayan
Ke saare jahan barooz-e-fukaan zill-e-aayena saan tumhare liye
Khalil o nuji, Maseeh o Safi sabhi se kahi kahin bhi bani
Yeh be khabri ke khalq phari kahan se kahan tumhare liye
Yeh toor kajaa suphar to kya ke arsh a‘la bhi door raha
Jihat se waraa wisal mila yeh rafat shaan tumhare liye
Bafur sada samaa yeh bandha yeh sidrah utha woh arsh jhuka
Sufuuf sama ne sajdah kiya hui jo azan tumhare liye
Yeh marhamatein ke chuki matein nichhorein latein na apni gatin
Qasoor karen aur un se bharein qasoor jannat tumhare liye
Fana badrat baqa bpart z har do jihat bgard sart
Hai markaziyat tumhari sifat ke dono kaman tumhare liye
Ishaare se chaand cheer diya chhupay hue khur ko pher diya
Gaye huye din ko asr kiya yeh taab o tawan tumhare liye
Saba woh chale ke baagh phale woh phool khile ke din hon bhale
Lawa ke tale sana mein khile raza ki zabaan tumhare liye