Zahe Sharf, Meharban Hain Kis Qadr Mire Hal Par Muhammad ﷺ
Zahe Sharf, Meharban Hain Kis Qadr Mire Hal Par Muhammad ﷺ
Zahe sharf, meharban hain kis qadr mire hal par Muhammad ﷺ
Lutain ashrafiyan rehmaton ki ghareeb aamaal par Muhammad ﷺ
Kabhi yahan ki kabhi wahan ki karain sadarhat woh do jahan ki
Dikhai detay hain farsh o arsh bareen ke pindal par Muhammad ﷺ
Hawain us se lipat ke jhoomen bulandiyan us ke paon choomen
Jo ik achatti nigah dalain kisi ke iqbal par Muhammad ﷺ
Lahoo badan ka gare zameen par shikan na aaye magar jabeen par
Ghanim jaan ke bhi dar rokein duain ki dhal par Muhammad ﷺ
Nazar jamal e huzoor dekhe to ek anboh e noor dekhe
Nisar har aik aaina aap ke khad o khaal par Muhammad ﷺ
Huwe jo meraaj ko rawana to ruk gayi gardish e zamana
Kise khabar sabah ke rahe markab mah o saal par Muhammad ﷺ
Karoon jo rozae ki khakroobi to rang laye ye kar e choobi
Azal ke din se kadha hua hai hayat ki shaal par Muhammad ﷺ
Na is jahan ko jawab doonga na us jahan mein hisaab doonga
Ke khud ko mein kharch kar raha hoon tumhare aqwal par Muhammad ﷺ
Ajeeb si pur sukoon lahrein wajood ke saahiloon pe thehrain
Darood bhejoon jo aap par aur aap ki aal par Muhammad ﷺ
Malaikah bhi mujhe Muzaffar pukar uthain ge raees e mahshar
Karein ge jis waqt apna saaya mujh aisay kangal par Muhammad ﷺ