Yun Tura Ism-e-Grami Mere Lab Par Aagaya
Yun Tura Ism-e-Grami Mere Lab Par Aagaya
Yun tura ism-e-grami mere lab par aagaya
Jaise dariya tishnagi ke pas chal kar aagaya
Nirgha-e-lahoo o lab mein the mere hosh o hawas
Janay tu kis rastay se mere andar aagaya
Rozha-e-sarkar se agay na le ja zindagi
Meri umeedon ki basti, ruh ka ghura aagaya
Teri soorat jis ne dekhi us ne duniya dekh li
Us pe sab dar khul gaye jo tere dar par aagaya
Jab se ho aaya hoon darbar-e-Rasool Pak ﷺ se
Zindagi karne ka dhab mujh ko Muzaffar aagaya