Kalams Page

Yo To Sare Nabi Mohtaram Hn Magar Sarwar-e-Anbiya Teri Kya Baat Hai

Poet: Muhammad Ali Zahoori | Book: Nawa-e-Zahoori | Type: Naat

Yo To Sare Nabi Mohtaram Hn Magar Sarwar-e-Anbiya Teri Kya Baat Hai


Yo to sare Nabi mohtaram hn magar Sarwar-e-Anbiya teri kya baat hai
Rehmat-e-Do Jahan ik teri zaat hai ay Habeeb-e-Khuda teri kya baat hai

Rooh-e-kon o makaan pe nikhaar agaya rooh-e-insaniyat ko qarar agaya
Marhaba marhaba har kisi ne kaha amad-e-Mustafa teri kya baat hai

Hazrat-e-Amina k dulare Nabi, ghamzada ummaton k sahare Nabi
Roz-e-Mahshar kahe gi yeh khalq-e-Khuda sab k mushkil kusha teri kya baat hai

Char soo rehmaton ki ghata chha gayi, bagh-e-alam mein fasl-e-bahar aagai
Dil ka ghancha khila, Ism-e-Azam mila, zikr-e-Sal-e-Ala teri kya baat hai

Rehmat-e-Do Jahan ka khazina mile, jab gale se hawa-e-Madina mile
Arshion ki nida, Farshion ki sada, ay dar-e-Mustafa teri kya baat hai

Arzoo thi jo dil ki wo poori hui, Roza-e-Mustafa ki huzoor hui
Har jagah par Zahoori Zahoori hui, ay Nabi ke gada teri kya baat hai