Kalams Page

Yik-bayak Chain Mila Aur Tabiyat Thehri

Poet: Syed Naseeruddin Naseer | Book: Deen Hama Oust | Type: Naat

Yik-bayak Chain Mila Aur Tabiyat Thehri


Yik-bayak chain mila aur tabiyat thehri
Rooh-e-Hassaanؓ se sunte hi yeh baatein ma’qool

Dil se bisaakhta jumlay yeh ada honay lage
Marhaba, salli ‘ala ya meree zi jaah Rasoolؐ

Tere qurban, teri yaad ke lamhon pe nisaar
Mera saarmaya-e-hasti hai tere paon ki dhool

Na rawam az dar-e-paak-at ba dar-e-kaj kulhaan
Ba gadaai-e-dar-e-khwesh kun aye Shaahؐ! qubool

Tu kaja o man-e-aawaara o nakaara kaja
Tu wa sad deedah ba ru’yat, manam o kunj-e-khamool

Shaadam az silsila-e-lutf-e-tu paiham, Shaaha!
Na shawam az sar-e-zulf ba ‘alaaiq mashghool

Hama ra saakhta seeraab muheet-e-karamat
Che jawanaan-e-qashang o che buzurgan-e-kahool

Ibn-e-Aadam z tu aaeen-e-sharaafat aamoqt
Warna ummeed-e-mawaalaat azeen mard-e-jahool?

Meri hasti, meri masti, mera emaan, mera zauq
Hai yeh sab kuch tere in’aam o karam par mahmool

Ta qayamat teri chaukhat se na uthoon aaqaؐ!
Is tawaqquf se jo le kaam meri umr-e-‘ajool

Na mujhe taaj o nageen se, na salateen se gharz
Hai mera tere ghulaamon ki ghulaami, ma’mool

Abd o ma’bood ke maabayn waseela tu hai
Is se hat kar na ‘ibaadat, na siqahat maqbool

Mere nazdeek yahi toshah-e-‘uqba hai Naseerؔ!
Hubb-e-As’haab-e-Nabiؐ, ulfat-e-Aulaad-e-Batoolؓ