Yeh Kaaba Se Nida Aayi, Idhar Dekho Wali Aaya
Yeh Kaaba Se Nida Aayi, Idhar Dekho Wali Aaya
Yeh Kaaba se nida aayi, idhar dekho wali aaya
Hua charcha zamane mein, Ali (RA) aaya, Ali (RA) aaya
Jo us dam bhi namazi tha, na tha hukm-e-namaz utra
Jo dekha us Ali (RA) ko to, shuoor-e-bandagi aaya
Mohajir aur Ansari bane bhai sabhi baaham
Magar tuj ko mubarak ho ke tu ban kar akhi aaya
Bara tha zaam Marhab ko, nahin koi shaji' aisa
Machi thi khalbali har su, muqabil jab Ali (RA) aaya
Rasai ilm-e-Sarwar (SAW) tak dar-e-Haider (RA) se mumkin hai
So us dar se jo guzra hai use ilm-e-Nabi (SAW) aaya
Jise na-qabil-e-taskheer samjhe the makeen us ke
Woh Khyber bhi larazta tha ke dhaane ko Ali (RA) aaya
Hua mehboob har ik ka, kaha jis ne Ali (RA) Maula
Wohi ruswa hua har ja, muqabil jo shaqi aaya
Ke aulad-e-Ali (RA) ne hi sanam tore zamane ke
Buton ko todne pehle, Nabi (SAW) aaye Ali (RA) aaya
Zameen-e-Hind par gadhay jo panjay kufr ne har su
Hilane un ki bunyaden, yahan Hindu al-wali aaya
Yahan fitna kya barpa jo Mirza Qadiani ne
To karne us ki sarkoobi mera Mehr-e-Ali aaya
Likhi Maah-e-Rajab ki terhween tareekh hai dil par
Jaleel, is roz duniya mein, mera pyara Ali (RA) aaya