Kalams Page

Ye sab tumhara karam hai aaqa ke baat ab tak bani hui hai

Poet: Unknown | Book: Unknown | Type: Naat

Ye sab Tumhara Karam Hai Aaqa Ke Baat Ab Tak Bani Hui Hai


Koi saleeqa hai aarzoo ka na bandagi meri bandagi hai
Ye sab tumhara karam hai aaqa ke baat ab tak bani hui hai

Kisi ka ehsan kyun uthayein kisi ko halaat kyun bataayein
Tumhin se maangein ge tum hi do ge tumhare dar se hi lo lagi hai

Tajalliyon ke kafeel tum ho muraad-e-qalb-e-khalil tum ho
Khuda ki roshan daleel tum ho ye sab tumhari hi roshni hai

Tumhin ho rooh-e-rawaan-e-hasti sakoon nazar ka dilon ki masti
Hai do jahan ki bahaar tum se tumhin se phoolon mein taazgi hai

Shaoor o fikr o nazar ke daave hadd-e-taayun se barh na paaye
Na choo sake in bulandiyon ko jahan maqaam-e-Muhammadi hai

Nazar nazar rehmat-e-saraapa ada ada gairat-e-Masihha
Zameer-e-murda bhi jee uthe hain jidhar tumhari nazar uthi hai

Amal ki mere asaas kya hai bajuz nadamat ke paas kya hai
Rahe salamat tumhari nisbat mera to ek aasra yahi hai

Ata kiya mujh ko dard-e-ulfat kahan thi ye pur khata ki qismat
Main is karam ke kahan tha qabil huzoor ki banda parwari hai

Unhin ke dar se Khuda mila hai unhi se is ka pata chala hai
Woh aaeena jo Khuda numa hai jamaal-e-husn huzoor hi hai

Basheer kahiye nazeer kahiye unhein siraaj-e-muneer kahiye
Jo sar basar hai kalaam-e-Rabbi woh mere aaqa ki zindagi hai