Kalams Page

Yarasool Allah Tere Dar Ki Fizaaon Ko Salaam

Poet: Muhammad Ali Zahoori | Book: Nawa-e-Zahoori | Type: Naat

Yarasool Allah Tere Dar Ki Fizaaon Ko Salaam


Yarasool Allah tere dar ki fizaaon ko salaam
Gunbad-e-khazra ki thandi thandi chhaaon ko salaam

waalihana jo tawaaf roza-e-aqdas kare
mast o bekhud wajd mein aati un hawaaon ko salaam

Jo Madine ki gali kochon mein dete hain sada
taa qayamat un faqeeron aur gadaaon ko salaam

Maangte hain jo wahan shah o gadaa be imtiyaaz
Dil ki har dhadkan mein shaamil un duaon ko salaam

Ae Zahoori khush naseebi le gayi jin ko hijaz
Un ke ashko aur un ki iltijaaon ko salaam

Dar pe rehne wale khaanason aur aamoon ko salaam
Ya Nabi tere ghulaamon ke ghulaamon ko salaam

Kaaba Kaaba ke khush manzar nazaron par darood
Masjid-e-Nabvi ki subho aur shaamon ko salaam

Jo padha karte hain roz o shab tere darbaar mein
Paish karta hai Zahoori in salaamon ko salaam