Kalams Page

Yar-e Chaman Mein, Baith Lab Ju, Durood Parh

Poet: Riaz Majeed | Book: Unknown | Type: Naat

Yar-e Chaman Mein, Baith Lab Ju, Durood Parh


Yar-e chaman mein, baith lab ju, durood parh
Kar yaad, phool dekh ke woh roo, durood parh

Har saans waro salli ala say mehakti aaye
Jannat bana rahay tera har soo, durood parh

Khali na jaye koi bhi pal un ke zikr se
Jitna bhi waqt tujh ko mile tu, durood parh

Zanjeere hayat! hum aaghosh-e waqt ho
Phaila sadae noor ke bazu! durood parh

Dehleez-e noor aankh mein rakh us hareem ki
Sar ko jhuka ke ae dil-e khush khoo! durood parh

Kunj-e lahad se bagh-e jann tak rahe gi saath
Hai khaas is durood ki khushboo! durood parh

Un ki janab mein sar-e tasleem, kham rahay
Din ho ke raat, qalb-e raza ju! durood parh

Doori mein reh ke kaif-e huzoori naseeb ho
Woh, jis mein ho Owais (RA) ki khushboo, durood parh

Yeh soch, tujh ko kaun si naimat mili, Riaz
Aankhon mein la ke shukar ke aansu, durood parh