Kalams Page

Yaad Mein Jis Ki Nahi Hosh-e-tan-o-jaan Hum Ko

Poet: Ahmed Raza Khan Barelvi | Book: Hadaiq-e-Bakhshish | Type: Naat

Yaad Mein Jis Ki Nahi Hosh-e-tan-o-jaan Hum Ko


Yaad mein jis ki nahi hosh-e-tan-o-jaan hum ko
Phir dikha de woh rukh aye mehr-e-frozan! hum ko
Der se aap mein aana nahi milta hai humein
Kya hi khud rafta kya jalwa-e-janan! hum ko

Jis tabassum ne gulistan pe girayi bijli
Phir dikha de woh adaye gul-e-khandan hum ko
Kaash aawizah-e-qandeel-e-Madina ho woh dil
Jis ki sozish ne kiya rashk-e-charaghan hum ko

Arsh jis khoobi-e-raftar ka paimal hua
Do qadam chal ke dikha sarv-e-kharaman! hum ko
Shama-e-Tayyaba se mein parwana rahoon kab tak door
Haan jala de sharar-e-atish-e-pinhaan! hum ko

Khauf hai sama' kharashi-e-sag-e-Tayyaba ka
Warna kya yaad nahi nala-o-afghan hum ko
Khaak ho jayen dar-e-paak pe hasrat mit jaye
Ya Ilahi na phira be sar o saamaan hum ko

Khaar-e-sahra-e-Madina na nikal jaye kahin
Wahshat-e-dil na phira koh o biyaban hum ko
Tang aaye hain do aalam teri betaabi se
Chain lene de tap-e-seena-e-sozan hum ko

Paoon gharibaal hue raah-e-Madina na mili
Aye junoon! ab to mile rukhsat zindaan hum ko
Mere har zakhm-e-jigar se ye nikalti hai sada
Aye maleeh-e-Arabi! kar de namakdan hum ko

Seir-e-gulshan se aseeran-e-qafas ko kya kaam
Na de takleef-e-chaman bulbul-e-bustan hum ko
Jab se aankhon mein samai hai Madina ki bahar
Nazar aate hain khazan deeda gulistan hum ko

Gar lab-e-paak se iqrar-e-shafaat ho jaye
Yun na bechain rakhe josheesh-e-isyaan hum ko
Nayyir-e-Hashr ne ik aag laga rakhi hai!
Tez hai dhoop mile saaya-e-daamaan hum ko

Rehm farmaiye ya Shah keh ab taab nahi
Taab ke khoon rulaye gham-e-hijraan hum ko
Chaak-e-daamaan mein na thak jaiyo aye dast-e-junoon
Purze karna hai abhi jeeb o garebaan hum ko

Parda us chehra-e-anwar se uthakar ik baar
Apna aaina bana aye mah-e-taban hum ko
Aye Raza wasf-e-rukh-e-paak sunane ke liye
Nazar dete hain chaman, murgh-e-ghazal khwan hum ko