Kalams Page

Yaa Rab Tere Mehboob Ka Jalwa Nazar Aaye

Poet: Riaz-ud-Din Suhrawardi | Book: Unknown | Type: Naat

Yaa Rab Tere Mehboob Ka Jalwa Nazar Aaye


Yaa Rab tere mehboob ka jalwa nazar aaye
Is noor-e-mujassam ka saraapa nazar aaye

Ae kash kabhi aisa bhi ho khwab mein mere
Hon jis ki ghulami mein woh aaqa nazar aaye

Roshan rahen aankhen yeh meri baad-e-fana bhi
Gar waqt-e-naaz woh sheh-e-waala nazar aaye

Taa hashra meri qabr mein ho jaye ujaala
Marqad mein jo un ka rukh zebaa nazar aaye

Jis dar ka banaya hai gada mujh ko elahi
Us dar pe kabhi kash yeh mangta nazar aaye

Kis darja banaya unhein Allah ne mehboob
Har aik ke dil ki woh tamana nazar aaye

Aao ke shama naaton ki har simt jalayein
Har gosh-e-hasti mein ujaala nazar aaye

Kis aankh ne dekhi hai misaal un ki jahaan mein
Sarkar to konain mein yakta nazar aaye

Kaaba ae Riaz is ko bana loon ga main dil ka
Gar naqsh-e-qadam mujh ko Nabi ka nazar aaye