Yaa Ilaahi Har Jagah Teri Ata Ka Saath Ho
Yaa Ilaahi Har Jagah Teri Ata Ka Saath Ho
yaa ilaahi har jagah teri ata ka saath ho
jab pare mushkil shahe mushkil kasha ka saath ho
yaa ilahi bhool jaaun naza ki takleef ko
shaadi-e deedaar husn-e Mustafa ka saath ho
yaa ilaahi gor-e teerah ki jab aaye sakht raat
un ke pyaare munh ki subh-e jaanfiza ka saath ho
yaa ilaahi jab pare mahshar mein shor-e daro geer
amn dene wale pyaare peshwa ka saath ho
yaa ilaahi jab zubanein baahir aayen pyaas se
saahib-e Kausar shahe jood o ata ka saath ho
yaa ilaahi sard mehari par ho jab khursheed-e hashr
Syed be saaya ke zil-e lawa ka saath ho
yaa ilaahi garmi-e mahshar se jab bharken badan
daman-e mahboob ki thandi hawa ka saath ho
yaa ilaahi nama-e aamaal jab khulne lagein
aib posh-e khalq sattar-e khata ka saath ho
yaa ilaahi jab bahein aankhen hisaab-e jurm mein
un tabassum rez honton ki dua ka saath ho
yaa ilaahi jab hisaab-e khandae beja rulaaye
chashm-e giriyaan-e shafi-e murtaza ka saath ho
yaa ilaahi rang laayein jab meri be baakiyan
un ki neechi neechi nazron ki haya ka saath ho
yaa ilaahi jab chalun tareek raah-e pul Sirat
aaftaab-e Hashmi noor al-huda ka saath ho
yaa ilaahi jab sar-e shamsheer par chalna pare
Rabb-e sallim kehne wale ghamzada ka saath ho
yaa ilaahi jo duaein nek mein tujh se karoon
qudsiyon ke lab se aameen Rabbana ka saath ho
yaa ilaahi jab Raza khwab-e giraan se sar uthaye
daulat-e bedaare ishq-e Mustafa ka saath ho