Ya Nabi Nuskhah Taskhir Ko Main Jaan Gaya
Ya Nabi Nuskhah Taskhir Ko Main Jaan Gaya
Ya Nabi nuskhah taskhir ko main jaan gaya
Us ko sab maan gaye aap ko jo maan gaya
Har makan wale ko karta ho aap hairan gaya
La-makan main mera paighambar zeshan gaya
Doobte doobte un ki taraf dhyaan gaya
Le ke saahil ki taraf khud mujhe toofan gaya
Har bulandi mujhe pasti ki tarah aayi nazar
Jab mera gumbad-e-khizra ki taraf dhyaan gaya
Dekho kis shaan se Karbala ka woh mehman gaya
Nayzay ki nok pe parhta hua Quran gaya
Ghaib ka jaanne wala jab unhein main ne kaha
Baat imaan ki thi, kufr bura maan gaya
Log to husn amal le ke chale pesh khuda
Naat parhta hua aaqa sanakhwan gaya
Jaise barson ki mulaqat rahi ho un se
Qabar main dekhte hi main unhein pehchaan gaya
Naat goyi ka main mamnoon karam ho ijaz
Khuld main le ke mujhe naatiya deewan gaya