Kalams Page

Ya Nabi Nazr-e-karam Farma Na Aye Husnain Ke Nana

Poet: Ausaf Ali | Book: Unknown | Type: Naat

Ya Nabi Nazr-e-karam Farma Na Aye Husnain Ke Nana


Ya Nabi nazr-e-karam farma na Aye Husnain ke Nana
Zahrah pak ke sadqe hum ko Tayyibah mein bulana

Saj gayi hai Milaad ki mehfil kya hai khoob nazara
Kaif-o-masti mein dooba hai dekho aalam sara
Dhoondh rahi hai aap ki rehmat bakhshish ka bahana

Be saaya hai lekin do jag par hai aapka saaya
Arsh-e-Muala bana mahalla deed ko Rab ne bulaya
Hashr talak na ho ga kisi ka aisa ana jana

Aapke dar ka main ho bhikari aap hain mere data
Saare rishton naton se hai piara apna nata
Aap to hain aata hai jinko sab ki laaj nibhana

Nisbat ka faizaan hai dekho khadim-e-Ghaus Jali hoon
Karta hai mujh pe naaz zamana mein asaf Ali hoon
Aap ki aal ka main naukar ho aur khadim hoon purana