Ya Nabi Dekha Ye Rutba Aap Ki Na'layn Ka
Ya Nabi Dekha Ye Rutba Aap Ki Na'layn Ka
Ya Nabi dekha ye rutba aap ki na'layn ka
Arsh ne chooma hai talwa aap ki na'layn ka
Aap ke talwoon ki narmi qalb par mehsoos ki
Maine jab bhi naqsh dekha aap ki na'layn ka
Hashr mein jab log choomen aap ki dast-e-karam
Sab se chhup karlun main bosa aap ki na'layn ka
Roz-e-mahshar sar par sooraj jab sawa neze pe ho
Ek neze par ho saya aap ki na'layn ka
Aap ki khidmat ka mujh ko kash mil jata sharaf
Baandha haathon se tasma aap ki na'layn ka