Kalams Page

Ya Mustafa Ata Ho Ab Izn, Hazri Ka

Poet: Ilyas Attar Qadri | Book: Wasaail-e-Bakhshish | Type: Naat

Ya Mustafa Ata Ho Ab Izn, Hazri Ka


Ya Mustafa ata ho ab izn, hazri ka
Karloon nazara akar main aap ki gali ka

Ik bar to dikha do Ramzan mein Madina
Beshak banalo aqa mehman do ghari ka

Rota hua main aoon dagh-e-jigar dikhaoon
Afsana bhi sunaoon main apni bekasi ka

Main sabz sabz gunbad ki dekh loon baharain
Ab izn dedo aqa tum mujh ko hazri ka

Moula gham-e-Madina dede gham-e-Madina
Deewana tu bna de mujh ko tere nabi ka

Khoon-e-jigar se seencha hai bagh Sunnat ka
Kardo karam wasila us Madani Murshidi ka

Ya Sayyid-e-Madina! Bas aap hi nibhana
Go hoon bara kameena par hoon to aap hi ka

Ya Mustafa! Gunahon ki aadatein nikaalo
Jazba mujhe ata ho sunnat ki pai'rvi ka

Hoon door ab balaien deta hoon wasita main
Mazloom-e-Karbala ki Sarkar! Bekasi ka

Allah! Hub-e-duniya se tu mujhe bachana
Sail hoon ya Khuda main ishq-e-Muhammadi ka

Fakhr o ghuroor se tu Moula mujhe bachana
Ya Rab! Mujhe bna de paikar tu aajzi ka

Emaan pe Rabb-e-Rehmat dede tu istiqamat
Deta hoon wasita main tujh ko tere nabi ka

Ho har nafas Madina dhadkan mein ho Madina
Jab tak na saans toote Sarkar zindagi ka

Duniya ke tajdaro! Tum se mujhe gharaz kya!
Mangta hoon main to mangta Sarkar ki gali ka

Allah! Iss se pehle emaan pe maut dede
Nuksan mere sabab se ho sunnat-e-nabi ka

Ulfat ki bheek dede deta hoon wasita main
Siddiq ka Umar ka Usman ka Ali ka

Kuch nekya kamale jald aakhirat banale
Koi nahi bharosa ae bhai! Zindagi ka

Meezan pe sab khare hain aamaal tul rahe hain
Rakh lo bharam khudara! Attar Qadri ka