Kalams Page

Ya Muhammad ﷺ Hai Sara Jahan Aap Ka

Poet: Behzad Lucknowi | Book: Unknown | Type: Naat

Ya Muhammad ﷺ Hai Sara Jahan Aap Ka


Ya Muhammad ﷺ hai sara jahan aap ka
Yeh zameen aap ki aasmaan aap ka

Rehmat e Aalameen ﷺ aap ki zaat hai
Sab yeh lutf karam hai ayaan aap ka

Aap ka zikr karti hai hardum zabaan
Qalb karta hai hardum bayaan aap ka

Aasiyon ke liye juz nadamat hai kya
Aasra hai shafi'e zaman aap ka

Is ko rehti hai hardum madine ki dhun
Yeh jo Behzaad hai naat khawaan aap ka