Ya Mudrika Ahwaali
Ya Mudrika Ahwaali
Ya Mudrika Ahwaali
Qad ta’lamu wallaahi maa yakhturu fi baali
——
Ae mere aashna-e-ahwaal! Allah ki qasam, tu mere dil-o-jaan ke har haal se waaqif hai.
Laa takzibu fi zhak
Fi lujjat-e-aafaatin bil ‘aun-e-wajadnaak
——
Hum is baat mein jhoot nahin bolte ke aafaat ke samundar mein humne teri madad paayi.
Al-fakhru lahu jaazaa
Man jaa’a ‘ala baabika qad naala wa qad faazaa
——
Fakhr usi ko zeba hai — jo bhi tere dar par aaya, usne kamiyabi bhi paayi aur izzat bhi.
Fil ‘ishqi karaamaat
Man akhlasahu yabqaa lillya’isi rau’aat
——
Ishq mein badi karaamaat hain; jo is mein mukhlis raha, wo baaqi raha — lekin mayoos ke liye ismein khatar hain.
Ma taawa’a man wallaa
Mahroomu mowaalaat, laa saama wa laa sallaa
——
Jo munh moad gaya, usne kisi ta’at ka haqq ada na kiya; jo mohabbat se mehroom hai, uski roza-namaz bhi be-asar hai.
Al-fayzu bi anwaari
Fi baasiratir-raai min qubbatit-Mukhtaar
——
Rasool ﷺ ke gumbad-e-khazra se dekhne wali aankh anwaar-e-ilahiyya ka faiz hasil karti hai.
Al-hikmatu maa yajri
Min mantiqi akhyaarin kallami‘ bil-fajr
——
Hikmat wahi hai jo buzurgon ki zubaan se nikalti hai — aur uski misaal fajr ke chamakte noor jaisi hai.