Ya Khuda Charkh-e-Islam Par Ta Abad
Ya Khuda Charkh-e-Islam Par Ta Abad
ya khuda charkh-e-islam par ta abad
mera taj-e-shariat salamat rahe
maslak-e-aala hazrat salamat rahe
maslak-e-aala hazrat salamat rahe
ae bareli mera bagh-e-jannat hai tu
yani jalwa gah-e-aala hazrat hai tu
ba-yaqeen markaz-e-ahl-e-sunnat hai tu
ye teri markaziyat salamat rahe
naara faiz-e-raza ka lagata rahun
najdiyon ke dilon ko jalata rahun
aur kalaam-e-raza mein sunata rahun
faiz-e-ahmed raza ta qayamat rahe
ahl-e-iman to kyun pareshan hai
rahbari ko teri kanzul-iman hai
har qadam par ye tera nigehbaan hai
ya khuda ye amanat salamat rahe
roz-e-mahshar agar mujh se pooche khuda
bol aal-e-rasool tu laya hai kya
paish kardun ga laya hun ahmed raza
ya khuda ye amanat salamat rahe
laakh jalte rahen dushmanan-e-raza
kam na honge kabhi madah khwan-e-raza
keh rahe hain sabhi aashiqan-e-raza
maslak-e-aala hazrat salamat rahe