Kalams Page

Wohi Rab Hai Jis Ne Tujh Ko Hama Tan Karam Banaya

Poet: Ahmed Raza Khan Barelvi | Book: Hadaiq-e-Bakhshish | Type: Naat

Wohi Rab Hai Jis Ne Tujh Ko Hama Tan Karam Banaya


Wohi Rab hai jis ne tujh ko hama tan karam banaya
Hamein bheek maangne ko tira aastan bataya
Tujhe hamd hai Khudaya

Tumheen hakim-e-baraya tumheen qasim-e-ataya
Tumheen dafi-e-balaya tumheen shafi-e-khataya
Koi tum sa kaun aya

Woh kanwari paak Maryam woh nafaqt fee ka dum
Hai ajab nishan-e-azam magar Aaminah ka jaya
Wohi sab se afzal aya

Yehi bole sidra waale chaman-e-jahan ke thaale
Sabhi meine chhaan daale tire paya ka na paya
Tujhe yak ne yak banaya

Faiza faraghta fansab ye mila hai tum ko mansab
Jo gada bana chuke ab uthho waqt-e-bakhshish aya
Karo qismat-e-ataya

Wa ila ilah farghab karo arz sab ke matlab
Ke tumheen ko takte hain sab karo un par apna saya
Bano shafi-e-khataya

Aray ae Khuda ke bando! Koi mere dil ko dhoondo
Mere paas tha abhi to abhi kya hua Khudaya
Na koi gaya na aya

Humein ae Raza tere dil ka pata chala ba mushkil
Dar-e-rozah ke muqabil woh humein nazar to aya
Ye na poochh kaisa paya

Kabhi khandah zair lab hai kabhi giryah saari shab hai
Kabhi gham kabhi tarab hai na sabab samajh mein aya
Na usi ne kuchh bataya

Kabhi khaak par pada hai sar-e-charakh zair-e-pa hai
Kabhi pesh-e-dar khada hai sar-e-bandagi jhukaya
Tu qadam mein arsh paya

Kabhi woh tapak ke aatish kabhi woh tapak ke baarish
Kabhi woh hajjom-e-nalish koi jaane abr chhaya
Bari joshishon se aya

Kabhi woh chehak ke bulbul kabhi woh mehak ke khud gul
Kabhi woh lehen ke bilkul chaman-e-jinaan khilaya
Gul-e-quds lahlahaya

Kabhi zindagi ke arman kabhi marg-e-nau ka khawahaan
Woh jiya ke marg qurban woh mwa ke zeest laaya
Kahe rooh haan jalaya

Kabhi gum kabhi aiyaan hai kabhi sard gah tapan hai
Kabhi zair-e-lab faghan hai kabhi chup ke dam na tha ya
Rukh-e-kaam jaan dikhaya

Ye tasawwur-e-batil tere aage kya hain mushkil
Teri qudratein hain kaamil inhein raast kar Khudaya
Main inhein shafi laaya