Woh Nabiyon Mein Rehmat Laqab Pane Wala
Woh Nabiyon Mein Rehmat Laqab Pane Wala
Woh nabiyon mein rehmat laqab pane wala
Muraden gareebon ki bar lane wala
Utar kar hira se soye qoum aya
Aur ek nuskha kemya sath laya
Mas-e-khaam ko jis ne kundan banaya
Khara aur khota alag kar dikhaya
Arab jis pe qarnon se tha jehal chhaya
Palt di bas ek aan mein us ki kaya
Raha darr na bere ko mauj-e-bala ka
Idhar se udhar phir gaya rukh hawa ka