Kalams Page

Wohﷺ Ke Hain Kher Ul-Anam

Poet: Abdul Aziz Khalid | Book: Unknown | Type: Naat

Wohﷺ Ke Hain Kher Al-anam


Wohﷺ ke hain kher al-anam
Aasman jhuk kar kare jin ko Salamﷺ

Zinda jaaved jin ka paak naam
Saikal-e-fikr o nazar jin ka kalaam

Adal o umeed o yaqeen jin ka payaam
Behr-e-nafa aam jin ke jumla kaam

Aadmi par aadmi ki khawajgi
Jin ki shari'at mein haraam

Rehnuma saaron ke, saaron ke imam
Jin ki azmat ke sana khwan hain tamaam

Ya ilahi in par naazil kar madam
Be nihayat barakatein, be had salam