Kalams Page

Wo Imam-e-Yaqeen, Jaan-e-Haq Rooh-e-Deen

Poet: Muzaffar Warisi | Book: Noor-e-Azal | Type: Manqabat

Wo Imam-e-Yaqeen, Jaan-e-Haq Rooh-e-Deen


wo imam-e-yaqeen, jaan-e-haq rooh-e-deen
sharah-e-imaan sar-e-karbala kar gaya
jagmagata hai jo taj-e-toheed mein
ek sajda wo aisa ada kar gaya

boond boond uske behte hue khoon ki
mur thi Rabb-e-kabaa ke qanoon ki
zard honTon pe tehri hui pyaas se
sookhte mosamon ko hara kar gaya

kaun gumraah hai kaun sachai par
usne sabit kiya jaan par khel kar
kaisa shikwa gila maut se khud mila
sabr o eesar ki inteha kar gaya

deta hoga moazzin azaan kis tarah
dekh paaya falak wo samaan kis tarah
sar kahin tan kahin yun bhi sair-e-zameen
raakib dois-e-khaira lora kar gaya

shirk usne kabhi khair khwahi na ki
kat gaya bait jabair shahi na ki
aane wale zamane ke mazloom ko
kis kadar hosla wo ata kar gaya

naaz uske lahoo par shahadat kare
wo har ik roshni ki qaiadat kare
gul na hongi jo sadiyon ke jhonkay se bhi
aisi shamaain hawa mein jala kar gaya

jab bura waqt Islam par aaparay
marte dam tak Muzaffar musalmaan laray
sirf lafzon mein usne naseehat na ki
wo amal ki zabaan mein bata kar gaya