Kalams Page

Wo Do Jahan Mein Hai Wallah Sarfaraz-e-Ali

Poet: Syed Sabihuddin Sabih Rahmani | Book: Kuliyat-e-Sabih Rahmani | Type: Manqabat

Wo Do Jahan Mein Hai Wallah Sarfaraz-e-Ali


Wo do jahan mein hai wallah sarfaraz-e-Ali
Ali ke naz ne bakhsha jise niyaz-e-Ali

Hadees "Lahmaka Lahmi" se saaf roshan hai
Ke soaz o saaz Muhammad hai soaz o saaz-e-Ali

Kamal, shah-e-wilayat ka chhup nahi sakta
Ke qutub o ghaos hain sab raazdar-e-raaz-e-Ali

Wo badr o Khaibar o Khandaq ho ya hudood-e-Uhad
Huzoor Haq ne uthaya hai barh ke naz-e-Ali

Siyahi shab hijrat mein meethi neend ka raaz
Bayan kare gi faqat chashm neem baz-e-Ali

Wahin pe rehmatain beitaab ho ke chha jaayein
Jahan ho saya fagan gesu-e-daraaz-e-Ali

Sabih! kaise na aasan hoon mushkilain meri
Madad ko aata hai khud dast-e-dil nawaz-e-Ali