Wasf-e Rukh Un Ka Kya Karte Hain Sharh-e Walshams Wa Zuhaa Karte Hain
Wasf-e Rukh Un Ka Kya Karte Hain Sharh-e Walshams Wa Zuhaa Karte Hain
Wasf-e rukh un ka kya karte hain sharh-e walshams wa zuhaa karte hain
Un ki hum mad’h o sana karte hain jin ko Mahmood kaha karte hain
Maah-e shaq gashta ki surat dekho kaanp kar mehr ki raj’at dekho
Mustafa pyare ki qudrat dekho kaise aijaaz hua karte hain
Tu hai Khursheed-e Risaalat pyare chhup gaye teri ziya mein taare
Anbiya aur hain sab mah paare tujh se hi noor liya karte hain
Aye bala be khiradi-e kuffar rakhte hain aise ke haq mein inkaar
Ke gawahi ho gar us ko darkaar be zubaan bol utha karte hain
Apne Maula ki hai bas shaan azeem jaanwar bhi karein jin ki tazeem
Sang karte hain adab se tasleem paid sajde mein gira karte hain
Rif’at zikr hai tera hissa dono aalam mein hai tera charcha
Murgh-e firdaus pas az hamd-e Khuda teri hi mad’h o sana karte hain
Ungliyaan paayein woh pyari pyari jin se daryaa-e karam hain jaari
Josh par aati hai jab ghamkhwari tishna sehraab hua karte hain
Haan yahin karti hain chidiyan faryaad haan yahin chahti hai harni daad
Isi dar par shutaran-e nashaad gila-e ranj o ana karte hain
Aasteen rehmat-e aalam ulte kamar-e paak pe daaman baandhe
Girne walon ko chah-e dozakh se saaf alag kheencha liya karte hain
Jab saba aati hai Tayba se idhar khilkhlila padti hain kaliyan yak-sar
Phool jaama se nikal kar baahar rukh-e rangeen ki sana karte hain
Tu hai woh baadshah-e kaun o makaan ke malik haft falak ke haraan
Tere Maula se shah-e arsh aiwaan teri daulat ki dua karte hain
Jis ke jalwe se Uhud hai taabaan madan-e noor hai us ka daaman
Hum bhi us chaand pe ho kar qurbaan dil-e sangeen ki jila karte hain
Kyun na zaiba ho tujhe taajori tere hi dam ki hai sab jalwagari
Malak o jinn o bashar hoor o pari jaan sab tujh pe fida karte hain
Toot padti hain balaayein jin par jin ko milta nahi koi yaawar
Har taraf se woh pur armaañ phir kar un ke daaman mein chhupa karte hain
Lab pe aa jaata hai jab naam-e janaab munh mein ghul jaata hai shehad-e naayaab
Wajd mein ho ke hum aye jaan betaab apne lab choom liya karte hain
Lab pe kis munh se gham-e ulfat laayein kya bala dil hai alam jis ka sunaayein
Hum to un ke kaf-e paa par mit jaayein un ke dar par jo mita karte hain
Apne dil ka hai unhi se aaraam sonpe hain apne unhi ko sab kaam
Lau lagi hai ke ab is dar ke ghulaam chaara-e dard-e Raza karte hain