Wah Kya Jood O Karam Hai Shah-e-bat’ha Tera
Wah Kya Jood O Karam Hai Shah-e-bat’ha Tera
Wah kya jood o karam hai Shah-e-Bat’ha tera
Nahi sunta hi nahi maangne wala tera
Dhaare chalte hain ata ke woh hai qatra tera
Taare khilte hain sukha ke woh hai zarra tera
Faiz hai ya Shah-e-Tasneem nirala tera
Aap pyaason ke tajassus mein hai darya tera
Aghniya palte hain dar se woh hai baara tera
Asfiya chalte hain sar se woh hai rasta tera
Farsh wale teri shaukat ka ulooh kya jaanein
Khusrawa arsh pe urta hai pharera tera
Aasmaan khaan, zameen khaan, zamaana mehmaan
Sahib-e-khaana laqab kiska hai tera, tera
Main to Maalik hi kahunga ke ho Maalik ke Habeeb
Yaani mehboob o muhabb mein nahi mera tera
Tere qadmon mein jo hain ghair ka munh kya dekhein
Kaun nazron pe chadhe dekh ke talwa tera
Behr-e-saa'il ka hoon saa'il na kunwen ka pyaasa
Khud bujha jaaye kaleja mera chheenta tera
Chor haakim se chhupa karte hain yaan us ke khilaaf
Tere daaman mein chhupe chor anokha tera
Aankhein thandi hoon, jigar taaze hoon, jaanen siraab
Sachche sooraj woh dil aara hai ujala tera
Dil abas khauf se patta sa uda jaata hai
Palla halka sahi bhaari hai bharosa tera
Ek main kya, mere isyaan ki haqeeqat kitni
Mujh se sau laakh ko kaafi hai ishaara tera
Muft paala tha kabhi kaam ki aadat na padi
Ab amal poochhte hain haaye nikamma tera
Tere tukdon se pale, ghair ki thokar pe na daal
Jhidkiyaan khayein kahaan chhod ke sadqa tera
Khaar o beemaar o khatawaar o gunehgaar hoon main
Rafi’ o Nafi’ o Shafi’ laqab Aaqa tera
Meri taqdeer buri ho to bhali kar de ke hai
Mahw o isbaat ke daftar pe kad’ora tera
Tu jo chahe to abhi mail mere dil ke dhulen
Ke Khuda dil nahi karta kabhi maila tera
Kis ka munh takiye, kahaan jaaiye, kis se kahiye
Tere hi qadmon pe mit jaaye yeh paala tera
Tu ne Islam, tu ne jama’at mein liya
Tu kareem, ab koi phirta hai atiya tera
Maut sunta hoon sitam talkh hai, zehraab ab
Kaun laa de mujhe talwon ka ghusala tera
Door kya janiye badkaar hi kaisi guzre
Tere hi dar pe mare be-kas o tanha tera
Tere sadqe mujhe ek boond bahut hai teri
Jis din achhon ko mile jaam chhalakta tera
Haram o Tayba o Baghdad jidhar kije nigah
Joot padti hai teri, noor hai chhanta tera
Teri sarkar mein laata hai Raza us ko shafi’
Jo mera Ghaus hai aur laadla beta tera