Kalams Page

Wadi E Raza Ki Koh Himaliya Raza Ka Hai

Poet: Unknown | Book: Unknown | Type: Manqabat

Wadi E Raza Ki Koh Himaliya Raza Ka Hai


Wadi e Raza ki koh himaliya Raza ka hai
Jis simt dekhie wo ilaqa Raza ka hai

Jalwa hai noor hai wo sarapa Raza ka hai
Tasweer sunniyat hai ki chehra Raza ka hai

Jo us nay likh diya hai sanad hai wo deen mein
Ahl e qalam ki aabru nuqta Raza ka hai

Kis ki majaal hai jo nazar bhi mila sakay
Darbar Mustafa mein thikana Raza ka hai

Uglon ne to likha bohat ilm e deen par
Jo kuch hai is sadi mein wo Raza ka hai

Dastaar aa rahi hai zameen par jo sar uthay
Kitna buland aaj pharera Raza ka hai

Is dor e fitan mein nazar khush aqeedgi
Sarkar ka karam hai ke waseela Raza ka hai