Waah Kya Martaba Ae Ghous Hai Bala Tera
Waah Kya Martaba Ae Ghous Hai Bala Tera
Waah kya martaba ae ghous hai bala tera
Oonche oonchon ke saron se qadam aala tera
Sar bhala kya koi jaane ke hai kaisa tera
Aulia milte hain aankhen woh hai talwa tera
Kya dabe jis pe himayat ka ho panja tera
Sher ko khatre mein laata nahi kutta tera
Tu Husaini Hasni kyun na Mohiyuddin ho
Ae Khizr Majma-ul-Bahrain hai chashma tera
Kasmein de de ke khilata hai pilata hai tujhe
Pyara Allah tera chahne wala tera
Mustafa ke tan-e-be saya ka saya dekha
Jis ne dekha meri jaan jalwa-e-zeba tera
Ibn-e-Zahra ko mubarak ho aroos-e-qudrat
Qadri payen tasaduq mere dulha tera
Kyun na Qasim ho ke tu ibn-e-ablu Qasim hai
Kyun na Qadir ho ke Mukhtar hai baba tera
Nabwi meenh Alwi fasl Batooli gulshan
Hasni phool Husaini hai mehka tera
Nabwi zil Alwi burj Batooli manzil
Hasni chaand Husaini hai ujala tera
Nabwi khoor Alwi koh Batooli ma'din
Hasni laal Husaini hai tajalla tera
Behrobar shehr o qura sahalo huzun dasht o chaman
Koun se chak pe pahunchta nahi daawa tera
Husne-niyyat ho khata phir kabhi karta hi nahi
Aazmaya hai yagana hai dogana tera
Arz-e-ahwaal ki piason mein kahaan taab magar
Aankhen ae abr-e-karam takti hain rasta tera
Maut nazdeek gunaahon ki thein mail ke khol
Aa baras ja ke naha dho le yeh pyaasa tera
Aab aamad woh kahe aur main tayammum barkhaast
Musht-e-khaak apni ho aur noor ka ahla tera
Jaan to jaate hi jayegi qayamat yeh hai
Ke yahan marne pe thehra hai nazaara tera
Tujh se dar dar se sag aur sag se hai mujh ko nasbat
Meri gardan mein bhi hai door ka daura tera
Is nishani ke jo sag hain nahi maare jaate
Hashr tak mere gale mein rahe patta tera
Meri qismat ki qasm khayein sagan-e-Baghdad
Hind mein bhi hoon to deta rahoon pehra tera
Teri izzat ke nisar ae mere ghairat wale
Aah sad aah ke yun khwaar ho birwa tera
Bad sahi, chor sahi, mujrim o nakaara sahi
Ae woh kaisa hi sahi hai tu kareema tera
Mujh ko ruswa bhi agar koi kahega to yun hi
Ke wohi na, woh Raza banda-e-ruswa tera
Hain Raza yun na balak tu nahi jay tu na ho
Sayyid-e-Jayyid-e-har dahr hai maula tera
Fakhr-e-aqa mein Raza aur bhi ik nazm-e-rafe
Chal likha laen sana khwano mein chehra tera