Vird-e-zabaan Hai Mere Wazifah Ali Ali
Vird-e-zabaan Hai Mere Wazifah Ali Ali
Vird-e-zabaan hai mere wazifah Ali Ali
Ganjineh hayat hai Moula Ali Ali
Haider hai Boo Turab hai woh rab ka shair hai
Kehta hai unko saara zamana Ali Ali
Baba Hasan Hussain ke hain zauja-e-Fatima
Hain gulshan-e-nabi ka ujala Ali Ali
Khyber ka jaise bab ukhara tha aap ne
Dije ga ek kufr ko jhatka Ali Ali
Marhab har ek daur ka larzan hai aap se
Hai dabdaba woh naam ka Moula Ali Ali
Mushkil bhi mushkilon mein giraftar ho gayi
Ranj o alam mein jis ne pukara Ali Ali
Jitne bhi sufiya ke hain zi shaan silsile
Kehta hai unka jhoom ke shajra Ali Ali
Taskeen-e-qalb o jaan hai Moula Ali ka naam
Ahl-e-nazar ka qibla o kaaba Ali Ali
Zikr-e-Ali o deed-e-Ali bi al-yaqeen sawab
Chamke ga mera keh ke yeh nama Ali Ali
Ghar aaye ga na koi kabhi khariji mere
Darwazay par jo naam hai likha Ali Ali
Kashti meri bhanwar mein hai toofan ka hai zor
Lutf o karam ka kije ishara Ali Ali
Naam-e-Ali hai aaj to jaan-e-mushaira
Hota hai dhoom dhaam se charcha Ali Ali
Ulfat hai chaar yaar ki Mirza ke qalb mein
Kehta hai iska saara gharana Ali Ali