Us Ki Har Baat Bani In Huwa Illa Wahyun
Us Ki Har Baat Bani In Huwa Illa Wahyun
Us ki har baat bani in huwa illa wahyun
Us ka har fa'il bana hujjat-e-burhan o usool
Nur-u-hu sara mumid-dan li-wujud-il-kawnayn
Jood-u-hu zalla mu'eenan li-nufus-in wa 'uqul
Ya'rif-ul-haqq bihi kulla ghabiyyin wa ghawi
Ya'lam-ul-khair bihi kulla zaloomin wa jahool
Laylatan sa'ada fi saahat-e-fazl-in wa 'ula
Harafi qurbati-hi kullu nabiyyin wa rasool
Kullu man tabi'ahu kana habib-al-mawla
Kullu man khalafahu fahuwa tareed-un maghlool
Nisbat us se na agar ho to mahasin bhi gunah
Woh shafa'at pe ho mail to zamaa'im bhi qabul
Wohi Qur'an, wohi ma'na, wohi mafhoom o muraad
Wohi 'illat, wohi ghayat, wohi asl-e-ma'lool
Seena-e-paak hai woh mushaf-e-asrar-e-ilah
Na samajh paaye jise arsa-e-danesh ke fuhool
Zikr chhid jaye jahan zulf-e-rasa ka us ki
Bakht-e-kotah ko lazim hai wahan nazish-e-tool
Garchi hai 'alam-e-tashbih mein illa bashar
Ek ho jaate hain tanzih mein, 'illat ma'lool
Woh na hote, to zara deedah wa ron se poochho
Hota kyun kar koi paigham-e-samawi mosoool