Unka Mangta Hoon Jo Mangta Nahi Hone Dete
Unka Mangta Hoon Jo Mangta Nahi Hone Dete
Unka mangta hoon jo mangta nahi hone dete
Yeh hawale mujhe ruswa nahi hone dete
Mere har aib ki karte hain woh parda poshi
Mere jurmoun ko tamasha nahi hone dete
Apne mangton ki fehrist mein rakhte hain mujhe
Mujh ko mohtaaj kisi ka nahi hone dete
Baat karta hoon to aati hai mehak teba ki
Mere lehje ko woh maila nahi hone dete
Hai yeh imaan ke aaye ge lahad mein meri
Apne mangton ko woh tanha nahi hone dete
Mere halaat hi aaqa mere dushman thehre
Mujhko deedaar-e-madina nahi hone dete
Hukum karte hain to milte hain yeh maq'ad-e-shakir
Aap na chahen to matlab nahi hone dete