Un Ki Chaukhat Ho To Kasa Bhi Pada Sajta Hai
Un Ki Chaukhat Ho To Kasa Bhi Pada Sajta Hai
Un ki chaukhat ho to kasa bhi pada sajta hai
Dar bara ho to sawali bhi khara sajta hai
Shahanshahoun ke muqaddar mein kahan zebai
Jis qadar un ki ghulami ka kara sajta hai
Yeh ghulami kahin kam tar nahi hone deti
Un ka naukar hoon to shahoun mein khara sajta hai
Sarwar-e-deen ke musalle pe khuda janta hai
Murtaza peeche ho Siddeeq khara sajta hai
Aise aaqa hon to laazim hai ghulami pe gharoor
Aisi nisbat ho to phir bol bara sajta hai
Kaan mein Hurr ke muqaddar ne yeh sargoshi ki
Tu nageena hai anguthi mein jura sajta hai
Moula Shabbir se khuda jane sakhi mehdi tak
Gulshan-e-Zahra ka har phool bara sajta hai
Dekh kar bole yeh Siddeeq o Umar Tayyba mein
Dosh-e-Sarkar pe Shabbir para sakta hai
Mujh se kehte hain yehi ahl-e-mohabbat Sarwar
Naat ka naghma tere lab pe bara sajta hai