Tum Par Mein Lakh Jaan Se Qurban Ya Rasool ﷺ
Tum Par Mein Lakh Jaan Se Qurban Ya Rasool ﷺ
Tum par mein lakh jaan se qurban ya Rasool ﷺ
Bar aaein mere dil ke bhi armaan ya Rasool ﷺ
Kyun dil se mein fida na karun jaan ya Rasool ﷺ
Rehte hain is mein aap ke armaan ya Rasool ﷺ
Kushta hun roye paak ka niklun jo qabr se
Jari meri zabaan pe ho Quran ya Rasool ﷺ
Duniya se aur kuch nahi matloob hai mujhe
Le jaaun apne saath mein imaan ya Rasool ﷺ
Is shauq mein ke aap ke daaman se ja mile
Mein chaak kar raha hun garebaan ya Rasool ﷺ
Kaafi hai ye waseela shafaat ke waaste
Aasi to magar hun pashemaan ya Rasool ﷺ
Mushkil kusha hain aap ameer aap ka ghulaam
Ab is ki mushkilein bhi hon aasaan ya Rasool ﷺ