Tulu Hotay Huay Sawaray
Tulu Hotay Huay Sawaray
Tulu hotay huay sawaray
Lagayein us ki gali ke pheray
Fana ki raahon se bhi guzar kar
Baqa ki waadi mein us ke dayray
Hayat ko us ke naam karna
Lahu ko us ke salam karna
Kharaj hai ishq hai dua hai
Husain sachai hai wafa hai
Charagh Bo Bakr ka ujala
Jihad-e-Farooq ka qareena
Ghanaaye Usman ka asasa
Ali ki talwar ka nageena
Akela bhi aik hajjom jaisa
Sarapa dar ul uloom jaisa
Safar hai manzil hai rasta hai
Husain sachai hai wafa hai