Kalams Page

Tu Shah-e-Khubaan, Tu Jaan-e-Jaanan, Hai Chehra Um-ul-Kitab Tera

Poet: Allama Saim Chishti | Book: Kulyat-e-Saim Chishti | Type: Naat

Tu Shah-e-Khubaan, Tu Jaan-e-Jaanan, Hai Chehra Um-ul-Kitab Tera


Tu Shah-e-Khubaan, tu Jaan-e-Jaanan, hai chehra Um-ul-Kitab tera
Na ban saki hai, na ban sake ga, misaal teri jawaab tera

Tu sab se awwal, tu sab se aakhir, mila hai husn-e-dawam tujh ko
Hai umr laakhon baras ki teri, magar hai taaza shabaab tera

Khuda ki gherat ne daal rakhe hain tujh pe satar hazaar parday
Jahan mein ban jaate Toor laakhon jo ek bhi utta hijab tera

Ho mushk o anbar, ya bu-e-jannat, nazar mein us ki hai be haqeeqat
Mila hai jis ko, mila hai jis ne paseena rashk gulaab tera

Main tere husn o bayaan ke sadqay, main teri meethi zubaan ke sadqay
Ba rang-e-khushbu dilon pe utra hai kitna dilkash khitaab tera

Hai tu bhi Sa'im ajeeb insaan ke khauf mahshar se hai haraasaan
Are tu jin ki hai naat parhta wahi to lain gay hisaab tera