Tu Kuja Man Kuja
Tu Kuja Man Kuja
Tu ameer-e-haram
Main faqeer-e-ajam
Tere gun aur yeh lab?
Main talab hi talab
Tu ata hi ata
Tu kuja, man kuja
Tu abad aafareen, main hoon do chaar pal
Tu yaqeen, main gumaan, main sukhan, tu amal
Tu hai masoomiyat
Main niri ma'siyat, tu karam, main khata
Tu kuja, man kuja
Tu hai ehraam-e-anwaar baandhe hue
Main duroodon ki dastaar baandhe hue
Kaaba-e-ishq tu
Main tere chaar soo, tu asar, main dua
Tu kuja, man kuja
Tu hai haqeeqat, main sirf ehsaas hoon
Tu samandar, main bhatki hui pyaas hoon
Mera ghar khaak par
Aur teri rah guzar Sidrat-ul-Muntaha
Tu kuja, man kuja
Mera har saans tu khoon nichode mera
Teri rehmat magar dil na tode mera
Kaasa-e-zaat hoon
Teri khairaat hoon, tu sakhi, main gada
Tu kuja, man kuja
Dagmagaaoon jo haalaat ke saamne
Aaye tera tasawwur mujhe thaamne
Meri khush qismati
Main tera ummati, tu jazaa, main razaa
Tu kuja, man kuja
Mera malboos hai, pardah poshi teri
Mujh ko taab-e-sukhan de, khamoshi teri
Tu jali, main khafi
Tu atal, main nafi, tu sila, main gila
Dooriyan saamne se jo hatne lagein
Jaliyon se nigaahein lipatne lagein
Aansuo ki zubaan
Ho meri tarjuman, dil se nikle sada
Tu kuja, man kuja