Tu Jab Aaya To Mitti Rooh O Badan Ki Tafreeq
Tu Jab Aaya To Mitti Rooh O Badan Ki Tafreeq
Tu jab aaya to mitti rooh o badan ki tafreeq
Tu ne insaan ke khayalon mein lahoo dodhaya
Simat aaya tere ek harf sadaqat mein woh raaz
Falsafon ne jise ta-had-e-gumaan uljhaaya
Raahat-e-jaan! tere khursheed-e-mohabbat ka tulu
Dhoop ke roop mein hai abr-e-karam ka saaya
Apne rafiqon ke liye pathar bhi dhoye aap ne
Aur dushmanon ke haq mein masroof-e-dua bhi aap hain
Zulmat-e-in o aan mein hoon, main kab se sargarm-e-safar
Aur is safar mein, meri manzil ka pata bhi aap hain