Tu Hai Woh Ghous Keh Har Ghous Hai Sheda Tera
Tu Hai Woh Ghous Keh Har Ghous Hai Sheda Tera
Tu hai woh ghous keh har ghous hai sheda tera
Tu hai woh ghaith keh har ghaith hai pyasa tera
Suraj uglon ke chamakte the chamak kar doobay
Ufaq-e-noor pe hai mehr hamesha tera
Murgh sab bolte hain bol kar chup rehte hain
Haan aseel ek nawa sanj rahe ga tera
Jo wali qabil the ya baad hue ya honge
Sab adab rakhte hain dil mein mere aaqa tera
Ba qasam kehte hain shahan-e-sarifeen o hareem
Keh hua hai na wali ho koi humta tera
Tujh se aur dahr ke aqtabe se nisbat kaisi
Qutub khud kaun hai khadim tera chela tera
Saare aqtabe jahan karte hain Kaaba ka tawaaf
Kaaba karta hai tawaaf-e-dar-e-wala tera
Aur parwane hain jo hote hain Kaaba pe nisaar
Shama ik tu hai keh parwana hai Kaaba tera
Shajar-e-sarv sahi kis ke ugaae tere
Maarifat phool sahi kiska khilaaya tera
Tu hai Noshaah barati hai yeh saara gulzar
Laayi hai fasl-e-saman gondh ke sehrha tera
Daaliyaan jhoomti hain raqsa-e-khushi josh pe hai
Bulbulein jhoolti hain gaati hain sehrha tera
Geet kaliyon ki chaatak ghazlein hazaaron ki chahek
Baagh ke saazoun mein bajta hai taraana tera
Saf-e-har shajarah mein hoti hai salami teri
Shaakhen jhukk jhukk ke baja lati hain mujhrah tera
Kis gulistaan ko nahi fasl-e-bahari se niaaz
Kaun se silsila mein faiz na aaya tera
Nahi kis chaand ki manzil mein tera jalwa-e-noor
Nahi kis aaina ke ghar mein ujaala tera
Raaj kis shehar mein karte nahi tere khuddam
Baaj kis nehr se leta nahi dariyaa tera
Mazra‘-e-Chisht o Bukhara o Iraq o Ajmeer
Kaun si kisht pe barsa nahi jhaala tera
Aur mahboob hain, haan par sabhi yaksaan to nahi
Yun to mahboob hai har chahne wala tera
Is ko so fard siraapa b faraghat odhain
Tang ho kar jo utarne ko ho nima tera
Gardanein jhuk gayi sar bech gaye dil loot gaye
Kashf-e-saaq aaj kahan yeh to qadam tha tera
Taj-e-farq-e-urafa kis ke qadam ko kahiye!
Sar jise baaj dein woh paon hai kiska tera
Sukr ke josh mein jo hain woh tujhe kya jaanein
Khizr ke hosh se poochhe koi rutba tera
Aadmi apne hi ahwaal pe karta hai qiyaas
Nashe walon ne bhala sukr nikaala tera
Woh to chhota hi kaha chahen keh hain zair-e-hazeed
Aur har aouj se uuncha hai sitaara tera
Dil-e-adah ko Rezaa teez namak ki dhun hai
Ik zara aur chhidakta rahe khaama tera