Kalams Page

Thandi Thandi Hawa Rehmaton Ki Chali

Poet: Unknown | Book: Unknown | Type: Naat

Thandi Thandi Hawa Rehmaton Ki Chali


Thandi thandi hawa rehmaton ki chali
Ban ke mauj-e-karam Mustafa ﷺ agaye
Hal meri hogayin khudba khud mushkilain
Saray alam ke mushkil kusha agaye

Agaye agaye Mustafa ﷺ agaye
Agaye agaye Mustafa ﷺ agaye

Aminah ka muqaddar sanwara gaya
Goad mein chaand jis ki utaara gaya
Hoor-o-ghulman salami ko jhukhne lage
Parhte rizwan sal-e-ala agaye

Agaye agaye Mustafa ﷺ agaye
Agaye agaye Mustafa ﷺ agaye

Dono aalam ki kismat badalne lagi
Noor mein sari konain dhalne lagi
Khush muqaddar Haleema mubarak tujhe
Goad mein teri Khair-ul-Wara agaye

Agaye agaye Mustafa ﷺ agaye
Agaye agaye Mustafa ﷺ agaye

Ban gayi hai zameen rashk-e-bagh-e-jinan
Saj gaye aasmaan khil utha gulistan
Maang lo rehmatain khol lo jholiyan
Dene khairat haajat rava agaye

Agaye agaye Mustafa ﷺ agaye
Agaye agaye Mustafa ﷺ agaye

Aaj koi bhi Sa'im na khaali rahe
Sab muraaden milen har museebat tale
Madni aaqa ki amad ka sadqa mile
Bheek lene ko hum ya Khuda agaye

Agaye agaye Mustafa ﷺ agaye
Agaye agaye Mustafa ﷺ agaye