Teri Shan Bo Tarabi, Mera Zauk Khaak Baazi
Teri Shan Bo Tarabi, Mera Zauk Khaak Baazi
Teri shan bo tarabi, mera zauk khaak baazi
Tere astaan pe laaye mujhe teri dil nawazi
Main nikal gaya khird se main junun-e-bakhabar hun,
Meri zad mein la-makaan hai mera kaam shahbazi
Tu hai saqay-e-zamana main hun rind-e-jadawana
Ho ata, mai shabana, ke jhuke tera nawazi!
Tere naqsh-e-pa ka sajda meri bandagi ka hasil
Isi bandagi se Roomi, isi bandagi se Raazi
Teri yaad ka wali hun ke main Wasif-e-Ali hun!
Na khafi hun na jali hun main hun harf-e-be-niazi