Kalams Page

Teri Jaaliyon Ke Neeche Teri Rehmaton Ke Saaye

Poet: Muhammad Ali Zahoori | Book: Unknown | Type: Naat

Teri Jaaliyon Ke Neeche Teri Rehmaton Ke Saaye


Teri jaaliyon ke neeche teri rehmaton ke saaye
Jise dekhni ho jannat wo madina dekh aaye

Na ye baat shaan se hai na ye baat maal o zar ki
Wohi jata hai madine aqa ﷺjise bulaye

Kaise wahan ke din hain kaisi wahan ki raatein
Inhe pooch lo Nabiﷺ ka jo madina dekh aaye

Jo madine lamhe guzre jo madine din guzare
Wohi lamhe zindagi hain wohi mere kaam aaye

Tayba ko jane wale tujhe deta hoon duaein
Dar Mustafa ﷺpe ja ke tu jahan ko bhool jaye

Roze ke saamne mein ye duaein mangta tha
Meri jaan nikal to jaye ye samaan badal na jaye

Lo chala hoon mein lahd mein mere Mustafa ﷺse keh do
Ke hawa teri gali ki mujhe chhodne ko aaye

Wohi gham guzar mera woh Zahoori yaar mera
Meri qabar par jo aaye naat Nabiﷺ sunaye