Teri Hamd Mein Kya Karun Aye Khuda
Teri Hamd Mein Kya Karun Aye Khuda
Teri hamd mein kya karun aye Khuda
Teri hamd mein kya karun aye Khuda
Mera ilm kya hai meri fikr kya hai
Main hadas ho aur zaat teri qadeem
Makaan hai tera la-makaan hai tera
Zameen hai teri aasmaan hai tera
Tujhi se saba hai tuji se samo0m
Zameen par hai gul aasmaan par nujoom
Zia-e-rukh zindagi tujh se hai
Jahan bhi hai rakhshandi tujh se hai
Muheet do aalam hai qudrat teri
Hai kasrat ke parde mein wahdat teri
Tere zamzame aabsharon mein hain
Teri azmatein kohsaron mein hain