Tere Hote Janam Liya Hota
Tere Hote Janam Liya Hota
Tere hote janam liya hota
Koi mujh sa, na doosra hota
Saans leta to, aur main jee uthta
Kash Makkah ki main fiza hota
Hijraton mein parao hota main
Aur tu kuch dair ko ruka hota
Tere hujray ke aas paas kahin
Main koi kacha raasta hota
Beech Ta'if ba-waqt sang zani
Tere lab par saji dua hota
Kisi ghazwa mein zakhmi ho kar main
Tere qadmon pe ja gira hota
Kash Uhud mein shareek ho sakta
Aur baqi na phir bacha hota
Teri kamli ka soot kyun na hua
Ke tere shanon pe jhoolta hota
Chob hota main teri chaukhat ki
Ya tere hath ka asa hota
Teri paakeeza zindagi ka main
Koi gumnaam waqia hota
Lafz hota main kisi aayat ka
Jo tere hont se ada hota
Main koi janjoo Arab hota
Jo tere samney jhuka hota
Main bhi hota tera ghulam koi
Laakh kehta, na main riha hota
Sochta hoon tab janam liya hota
Jaane phir kya se kya hua hota
Chaand hota tere zamane ka
Phir tere hukum se bata hota
Pani hota udaas chashmon ka
Tere qadmon mein beh gaya hota
Poda hota main jalte sehra mein
Aur tere haath se laga hota
Teri sohbat mujhe mili hoti
Main bhi tab kitna khush numa hota
Mujh par parti jo teri nazar karam
Aadmi kya, main mo'jza hota
Tukra hota, main aik baadal ka
Aur tere saath ghoomta hota
Aasman hota, ahd-e-nabwi ka
Tujh ko hairat se dekhta hota
Khaak hota main teri galiyon ki
Aur tere paoon choomta hota
Pairh hota khajoor ka koi
Jis ka phal tu ne kha liya hota
Baccha hota ik gareeb beowa ka
Sar teri god mein chhupa hota
Rasta hota tere guzrne ka
Aur tera rasta dekhta hota
But hi hota main khana-e-kabah ka
Jo tere hath se fana hota
Mujh ko khaliq banata ghaar, Hasan
Aur mera naam bhi Hira hota