Kalams Page

Tere Andar Khuda Muhammadؐ Aur Quran Bhara Tha

Poet: Muzaffar Warisi | Book: Sahib-e-Taj | Type: Manqabat

Tere Andar Khuda Muhammadؐ Aur Quran Bhara Tha


Tere andar Khuda Muhammadؐ aur Quran bhara tha
Teri haddiyon ke gode tak mein imaan bhara tha

Sab se pehle Kaabe ne teri awaaz suni thi
Teri pehli saanson ne deewar-e-din chuni thi

Jis ke jism se aati rehti khushboo bheni bheni
Barson hasil rahi tujhe uski aaghosh nashini

Sab se pehle jo Imaan Nabiؐ par laya tu tha
Kaise na tha Nabiؐ ka saaya, Nabiؐ ka saaya tu tha

Ahel apni Zulfiqar ka tujh ko Sarkar ne samjha
Un ke zaavio ka matlab teri parkaar ne samjha

Fath-e-Khyber ka parcham bhi diya Rasoolؐ ne tujh ko
Jhuk kar kiya salaam hamesha har usool ne tujh ko

Bhuk chamak kar tere andar roshniyan kar deti
Jo ki roti tere baazuoN mein bijli bhar deti

Mohar-e-Muhammadؐ sabt thi teri subahoN par shaamoN par
Tera naam likha hai ma'rafatoN ke ehramoN par

Ilm ka shehar Muhammadؐ aur is shehar ka darwaza tu
Chaudah sadiyoN baad bhi hai kitna taza taza tu

Arsh-e-Mualla tak jati thi teri khushboo Maula
Nabiؐ ne khud farmaya, jiska main uska tu Maula

Hijrat ki shab bhai ke bistar par tu ja leta tha
Deen bachaya nana ka jis ne, tera beta tha

Makhmal ko sharmati, tere jism ki chaadar soti
Aankh aqabi, zehan aafaqi, awaazein malakuti

Sachai hai fareefta tujh par, haq saath hai tere
ShahadatoN ke bazaroN ki raunaq saath hai tere

Ae mitti ke baap, tere qadamooN ki mitti sona
Yahi sunehri mitti mera oRhna mera bichhona