Tera Zarrah Mah-e Kaamil Hai Yaa Ghaus
Tera Zarrah Mah-e Kaamil Hai Yaa Ghaus
Tera zarrah mah-e kaamil hai yaa Ghaus
Tera qatrah yam-e sail hai yaa Ghaus
Koi saalik hai yaa vaasil hai yaa Ghaus
Woh kuch bhi ho tira sail hai yaa Ghaus
Qadd-e be saaya zill-e kibriya hai
Tu is be saaya zill ka zill hai yaa Ghaus
Tiri jagir mein hai sharq ta ghrub
Qalamro mein haram ta hill hai yaa Ghaus
Dil ishq o rukh husn aaeenah hain
Aur in donon mein tira zill hai yaa Ghaus
Tiri shama dil aara ki tab o taab
Gul o bulbul ki aab o gil hai yaa Ghaus
Tira majnu tira sahra tira najd
Tiri laila tira mahmil hai yaa Ghaus
Yeh tiri champei rangat-e husaini
Hasan ke chaand subah-e dil hai yaa Ghaus
Gulistan zaar tiri pankhuri hai
Kali so khald ka hasil hai yaa Ghaus
Ugal is ka udhar abraar ka ho
Jise tira ulush hasil hai yaa Ghaus
Ishaara mein kya jis ne qamar chaak
To us mah ka mah-e kaamil hai yaa Ghaus
Jise arsh-e doyam kehte hain aflaak
Woh tiri kursi-e manzil hai yaa Ghaus
Tu apne waqt ka saddiq-e akbar
Ghani o Haider o aadil hai yaa Ghaus
Wali kya mursil aaen khud Huzoor aaen
Woh tiri waaz ki mehfil hai yaa Ghaus
Jise maange na paayen jaah wale
Woh bin maange tujhe hasil hai yaa Ghaus
Fuyuz-e aalam ummi se tujh par
Ayaan maazi o mustaqbil hai yaa Ghaus
Jo qarnon sair mein aarif na paayen
Woh tiri pehli hi manzil hai yaa Ghaus
Malak mashghool hain is ki sana mein
Jo tira zakir o shaaghil hai yaa Ghaus
Na kyun ho tiri manzil arsh-e saani
Ke arsh-e Haq tiri manzil hai yaa Ghaus
Wahi se uble hain saaton samandar
Jo tiri nehr ka saahil hai yaa Ghaus
Malaik ke bashar ke jinn ke halqay
Tiri zaw mah-e har manzil hai yaa Ghaus
Bukhara o Iraq o Chisht o Ajmer
Tiri low shama-e har mehfil hai yaa Ghaus
Jo tira naam le zaakir hai pyare
Tasawwur jo kare shaaghil hai yaa Ghaus
Jo sar de kar tira sauda khareede
Khuda de aqal woh aqil hai yaa Ghaus
Kaha tu ne ke jo maango milega
Raza tujh se tira sail hai yaa Ghaus