Kalams Page

Tera Naam Khwaja Muin Ud-Din

Poet: Unknown | Book: Unknown | Type: Manqabat

Tera Naam Khwaja Muin Ud-Din


Tera naam khwaja Muin ud-din
Tu Rasool-e-Pak ki Aal hai
Teri shan khwaja-e-khwajgaan
Tujhe bay kason ka khayal hai

Mera bigra bakht sanwaar do
Mere khwaja mujh ko nawaz do
Teri aik nigah ki baat hai
Meri zindagi ka sawal hai

Main gada-e-khwaja-e-Chisht hoon
Mujhe us gadaai pe naaz hai
Mera naaz khwaja pe kyun na ho
Mera khwaja banda nawaz hai

Mera khwaja ata-e-Rasool hai
Woh bahar-e-Chisht ka phool hai
Woh bahar-e-gulshan-e-Fatima
Chaman-e-Ali ka nehal hai

Yahan bheek milti hai bay gumaan
Ye bare sakhi ka hai aastan
Yahan sab ki bharti hain jholiyaan
Ye dar-e-ghareeb nawaz hai