Kalams Page

Tasawwur Mein Manzar Ajeeb Aa Raha Hai

Poet: Behzad Lucknowi | Book: Unknown | Type: Naat

Tasawwur Mein Manzar Ajeeb Aa Raha Hai


Tasawwur mein manzar ajeeb aa raha hai
Ke jaise woh roza qareeb aa raha hai

Jise dekh kar rooh yeh keh rahi hai
Mere dard dil ka tabeeb aa raha hai

Yeh kya raaz hai mujhe koi bataye
Zuban par jo ism Habeeb aa raha hai

Ilahi main qurban tere karam ke
Mere kaam mera naseeb aa raha hai

Wohi ashk hai hasil zindagani
Jo har aansoo pe yaad Habeeb ﷺ aa raha hai

Jise hasil kaif kehti hai duniya
Khushha ab woh alam qareeb aa raha hai

Jo Behzad pooncha to duniya kahegi
Dar-e-Shah par ek ghareeb aa raha hai