Tasawwur Mein Madina Aa Gaya Hai
Tasawwur Mein Madina Aa Gaya Hai
Tasawwur mein Madina aa gaya hai
Faza par noor sa chha gaya hai
Khushha dil ko mila ishq e Muhammadﷺ
Muraad zindagani pa gaya hai
Waseelay se unhi ke barh rahi hain
Duaon ka saleeqa aa gaya hai
Woh naqsh e pa hai mehrab un nabi mein
Maza sajdon ka us ja aa gaya hai
Nazar mein us ki kya masti konain
Jo dil kaif e huzoori pa gaya hai
Jodta hai Muhammadﷺ hi Muhammadﷺ
Wohi raaz e mohabbat pa gaya hai
Koi hi kaan mein kehta hai Behzad
Madine se bulawa aa gaya hai