Tasawwur Ghair Mumkin Raf’at O Shaan-e-Muhammad (Saw) Ka
Tasawwur Ghair Mumkin Raf’at O Shaan-e-Muhammad (Saw) Ka
Tasawwur ghair mumkin raf’at o shaan-e-Muhammad (SAW) ka
Abas hai dhoondhna jis tarah Aadam ke ab-wajood ka
Sikhaye subh-e-"Kun", Allah ne asma jab Aadam ko
Sikhaya sab se pehle ism Aadam ko Muhammad (SAW) ka
Qayamat tak ke asraar-e-risalat us ko samjhaye
Bataya bheyd use khatam-e-rusul ke qamat o qad ka
Koi gin hi nahin sakta, koi likh bhi nahin sakta
Bharam khola tere oosaf ne a’daad o abjad ka
Ghulam us ke karoron har zameen par, har zamane mein
Nahin maujood o imkan mein koi saani Muhammad (SAW) ka
Alamat hai yeh tere aastaan bosi ki khwahish ki
Teri chaukhat ko jhuk jhuk dekhna charkh-e-zabarjad ka
Hazaron saal ki doori ki khandaq paat jaata hai
Nabi (SAW) ke lams-e-lab ka qurb aawar bosa Aswad ka
Nahin hai baal bhar nazm-e-do aalam mein khala koi
Makaan ho ya zaman sadqa hai ek "Meem mushaddad" ka
Jo kuch bhi hai, jahan par bhi hai, maujoodat o imkan mein
Tashakkur mast teri rehmat-e-be hisr o be had ka
Nabuwwat tae azal se thi, teri ma’baad-e-mehshar bhi
Koi kis tarah ho sakta hai waris teri masnad ka
Kashish aawar khayaal un ka hai aise na’at goi mein
Gumaan har koshish-e-aawurd par hota hai aamad ka
Tulu-e-na’at ka aaghaz us Sidrah se hota hai
Jahan hai khatma imkaan-e-fann ki aakhri had ka
Piyala ba piyala muttasil Qausain sa imla...!
Zameen se Arsh tak rehmat numa hai Meem ki shudd ka
Jahano bhar ke qatbino mein phaili hai teri rehmat
Piyala ba piyala muttasil Konain si shudd ka